Akhlaaqi Ta'aleem : Huzoor (ﷺ) ne zindagi ko behtareen banaane ke liye jo achchhi achchhi baatein sikhaayi hain, unhein "Akhlaaqi Ta'aleem" kehte hain.
Tarjama : Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni ne'mat poori kar di aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (humesha ke liye) pasand kar liya.
Islaam mukammal nizaame zindagi ka naam hai. Is mein jahaan dil wa jaan se ek Allah ki wahdaaniyat, Rasool ki Risaalat aur Yaume Aakhirat par Imaan laane ka hukm hai, waheen panj waqta namaazon ke ehtimaam, Ramzaan ke rozon ki paabandi, zakaat ki adaayegi aur Hajj karne ka mutaaliba hai. Saath hi saath tijaarati len den mein amaanatdaari wa sachchaayi ikhtiyaar karne ka hukm aur dhoka dene aur jhoot bolne se ijtinaab ki ta'aleem hai neez apne akhlaaq wa kirdaar ko sanwaarne ki bhi talqeen wa hidaayat di gayi hai. Isi liye Deen ke mash'hoor paanch sho'be qaraar diye gaye hain :
1) Imaaniyaat : Is se muraad woh cheezein hain jin par ek musalmaan ko dil se pakka yaqeen rakhna zaroori hai, jaise
Allah Ta'ala ki wahdaaniyat aur Rasoolullah (ﷺ) ki Risaalat ka iqraar karna.
2) Ibaadaat: Is se muraad woh nek aamaal hain jo Allah ki raza aur khushnoodi haasil karne ke liye kiye jaate hain, Jaise: Namaaz, Roza, Zakaat, Hajj, Qur'aan ki tilaawat, Deen ka ilm haasil karna wagaira.
3) Muaamlaat : Is se muraad khareed wa farokht, tijaarat wa business, aapsi len den aur wiraasat wagaira ko ahkaame sharee'at ke mutaabiq anjaam dena hai, Jaise: naaptol mein kami na karna, amaanat mein khayaanat na karna, maale wiraasat tamaam haq daaron mein taqseem karna wagaira.
4) Muaasharat : Is se muraad yeh hai ke jin logon ke darmiyaan hum rehte hain, un ke saath kaisa sulook aur kaisa bartaao karna chaahiye aur humaare oopar un ke kya huqooq wa faraaiz hain, jaise : Maan baap ki farmaanbardaari karna, padosiyon ke saath achchha sulook karna, kisi ko takleef na pahonchaana wagaira.
5) Akhlaaqiyaat : Is se muraad achchhe akhlaaq aur achchhi aadatein hain, jin ka har ek insaan ke andar hona zaroori hai, Jaise : Sachchaayi, amaanatdaari, waada poora karna, bugz wa hasad aur geebat se bachna wagaira.
Kaamil wa mukammal musalmaan wahi hai jis ki poori zindagi sharee'at ke mutaabiq guzre aur jin ke lmaan wa aqaaid, ibaadat wa bandagi, tijaarat wa len den, aapasi t'alluqaat, akhlaaq wa aadaat sab kuchh ahkaame sharee'at ke muwaafiq hon, agar koi insaan Deen ke kisi sho'be mein islaami ahkaam par amal nahin karta hai, to woh kaamil momin nahin ho sakta. Maslan Ek shakhs hai, jis ka aqeeda to durust hai, ibaadatein bhi khoob karta hai; magar logon ko dhoka deta hai, waada khilaafi karta hai, doosron ko takleef pahonchaata hai, us ke akhlaaq wa kirdaar gande hain, to aisa shakhs Allah ke nazdeek pasandeedah aur kaamil musalmaan nahin ho sakta; balke qiyaamat ke din us ki yeh ibaadatein bhi kuchh kaam na dengi aur woh apni bad kirdaariyon ki buniyaad par azaabe ilaahi mein giraftaar ho jaayega; isi liye Allah Ta'ala ne musalmaanon se mutaaliba kiya hai ke woh apne aap ko poore taur par Islaam ke taabe kar dein aur apni zindagi us ke mutaabiq guzaarein.
Lihaaza humein apne Aqaaid, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat wagaira zindagi ke tamaam sho'bon ko Islaam ke saanche mein dhaal dena chaahiye. Isi mein humaari kaamiyaabi aur najaat hai, kyun ke Allah Ta'ala ne Islaam hi ko humaare liye bataur deen pasand kiya hai, isi se Allah khush hote hain. Islaam ke alaawa jitne bhi mazaahib hain sab baatil aur mansookh hain. Ab qiyaamat tak Islaam hi rahega. Har insaan ki najaat aur kaamiyaabi Islaam hi mein hai. Isi ko ikhtiyaar karne par paakeezah zindagi ka waada hai aur Jannat mein daakhle aur behisaab rizq ki khushkhabri hai.