Arabi : Arab ki zabaan ko "Arabi" kehte hain.
Arabi zabaan islaami zabaan hai, jannat ki zabaan hai, isi zabaan mein Qur'aan majeed naazil huwa hai aur yahi Humaare Nabi Hazrat Muhammed (ﷺ) ki zabaan hai. Islaami ta'aleemaat ka awwaleen aur sab se bada zakheera Arabi hi mein hai. Lihaaza har musalmaan ko Arabi zabaan se dili muhabbat aur lagaao hona chaahiye aur is zabaan ko seekhne ki har ek ko hattal imkaan koshish karna chaahiye.